Har Ek Ghar Mein Diyaa Bhi Jale, Anaaj Bhi Ho -2
Agar Na Ho Kahin Aisaa To Ehatjaaj Bhi Ho -2
Har Ek Ghar Mein Diyaa Bhi Jale, Anaaj Bhi Ho
Hukumaton Ko Badalnaa To Kuchh Muhaal Nahin -2
Hukumatein Jo Badaltaa Hai Vo Samaaj Bhi Ho -2
Agar Na Ho Kahin Aisaa To Ehatjaaj Bhi Ho -2
Har Ek Ghar Mein Diyaa Bhi Jale, Anaaj Bhi Ho
Rahegi Kab Talak Vaadon Mein Qaid Khush-Haali -2
Har Ek Baar Hi Kal Kyun, Kabhi To Aaj Bhi Ho
Agar Na Ho Kahin Aisaa To Ehatjaaj Bhi Ho
Har Ek Ghar Mein Diyaa Bhi Jale, Anaaj Bhi Ho
Na Karte Shor Sharaabaa To Aur Kyaa Karte -2
Tumhaare Shahar Mein Kuchh Aur Kaam Kaaj Bhi Ho -2
Har Ek Ghar Mein Diyaa Bhi Jale, Anaaj Bhi Ho
Agar Na Ho Kahin Aisaa To Ehatjaaj Bhi Ho
Nida Fazli
Ehatjaaj = Revolution, Rebellion
Every day we get a chance to leave the city of our comfort and go into the wilderness of our intuition. We can't get there by bus, only by hard work and risk and by not quite knowing what we are doing, but what we will discover will be wonderful. We will discover ourself.
Saturday, December 06, 2008
Har Ek Ghar Me Diya Bhi Jale Anaaj Bhi Ho
In these turbulent times I am reminded of this beautiful poem written by Nida Fazli, one of my favorite poets. Please take a read down this amazingly written nazm.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment